Showing posts with label Urdu Poetry. Show all posts
Showing posts with label Urdu Poetry. Show all posts

Faslon nay dil ki qurbat ko barha diya hai
Aaj us ki yaad nay be-sabab rula diya hai
Us ko shikwa hai k mujhe us ki yaad nahi aati
Hum nay jis ki yaad main khud ko bhula diya hai

Hanstay raho aap hazaron k beech main
Jesay hanstay hain phool baharon k beech main
Roshan hon aap dunya main is tarah
Jesay hota hai chand sitaron k beech main

Na thi jisko hamray pyar ki kadar
Itefak say usi ko chah rahay thay hum
Usi diye nay jalaya hamray hathon ko
Jis ko hawa say bacha rahay thay hum

Toot jatay hain bikhar jatay hain
Kaanch k ghar main muqadar apnay
Ajnabi to sada pyar say miltay hain
Bhool jatay hain to aksar apnay

Mumkin jo agar hota , hum tum ko bhula detay ...
Yaadon ko kafan day kar bay waqt sula detay ...
Tanhai main jee letay , tum ko na saza detay ...
Is dil say teray dil tak , deewar utha detay ...
Mumkin jo agar hota , hum tum ko bhula detay ...

Tum say bohat kuch kehna hai magar
Kabhi tum nahi miltay , to kabhi alfaz nahi miltay
Ek nai dunya basana chahta hon magar
Kabhi neend nahi aati to kabhi khwab nahi miltay
Ye dooriyan to mita don main ek pal main magar
Kabhi kadam nahi chaltay to kabhi raaste nahi miltay

Ye kya k har dum kisi ki minatain karna ,
Kya is ko kehtay hain mohabbat karna ,
Jo qismat main hai milay ga wohi,
To kis baat pay phir RAB say shikyat karna ,
Ye pagal pan nahi to or kya hai ,
Zameen k ho kar aasman say baghawat karna,
Bas us ko yaad karna or rona raat bhar,
K kab choray ga ye dil aisi harkatain karna,
Bohat kar chuka pyar ye dil sab say,
Ab koi sikhaye mujh ko bhi naffrat karna .......

Zoq-e-janon ko had say guzar janay do
Wo samaitnay aaye ga humain bikhar janay do
Abhi dastaras main hon to ehsas nahi us ko
ro ro kay pukaray ga humain mar janay do

Uss ka rukh-e-mehtab uss k jazbat choom lon,
Jo bas chalay to uss ki har baat choom lon ,
Choo jaye agar uss k chehray ko barish ki bond,
Wo bond kya , barish kya mosam-e-brsat choom lon,
Aa jaye jo kabhi wo khwab main bhool k agar,
Wo khwab kya , wo neend kya wo raat choom lon,
Mujhay kuch nahi chahiye bas khali hath pay,
Tu rakh day apna hath main wo hath choom lon ...

Thukra ka mohabbat meri kahan janay ka irada hai
Mujhay zindagi kay kis mor per lanay ka irada hai
Ye jo ab khafa khafa say rehnay lagay ho
Ye pyar ka urooj hai ya chor k janay ka irada hai
Jatay jatay ye to bata jao aay dost
Meray pyar main kami thi ya kisi or say dosti ka irada hai
Meray baad meri yaad aaye to mur k na dekhna ay dost
Kyun k teray baad mera bhi is dunya
ko chor kay jana ka irada hai.

Ek chehra jo meray khawab saja deta hai
Mujh ko meray he khayalon main sada deta hai
Wo mera kon hai maloom nahi hai lekin
Jab bhi milta hai to pehlu main jaga deta hai
Main jon ander say kabhi toot k bikhron
To wohi mujh ko chahnay kay liye haat barha deta hai
Main jo tanha kabhi chupkay say bhi rona chahon
To dil kay darwazay ki zanjeer hila deta hai
Us ki qurbat main hai kya baat najaney yaro
Ek lamhay kay liye sadiyon ko bhula deta hai ...

Har kisi say jo hum nay wafa ki
Bus yehi zindagi main khata ki
chahaton ka hajoom main tanhai
Mujh ko doston ney he ata ki
Soz e dil yunhi nahi mila hum ko
Bari qeemat thi is ki jo ada ki
Jo hamara na ho saka hum nay
Us kay wastay he dua ki.....

Suno ...!
Hum so na paen gey ,
Kabhi khush ho na paen gey ,
Judai maar dalay gi ,
Suno...!
Ye dil tumhara hai ,
Na tum bin abb guzara hai ,
Suno...!
Kuch waqt do hum ko ,
Bana lein dost is ghum ko ,
Humain maloom hai aakhir ,
'Judai Maar Dalay Gi'
'Judai Maar Dalay Gi'

*Kuch hain doorian kuch hain faaslay ...
*Kia yahi Hain Mohabbat kay zaabtay...
*Kuch dil hai thora udas udas...
*Kuch Veeran Veeran say hain raastay ...
*Kuch hum ko bhi apni khabar nahi ...
*Kuch tum say bhi nahi hain raabtay ...
*Agar humain mangnay ka haq hota tou ...
*Hum tum say tumhi ko maangtay ...!

Phir teri yaad aai barish ko dekh kar
Dil per zor na raha apni be'basi dekh kar
Roya is qadar teri yaad main aay dost
Kay barish bhi tham gayi meri barish dekh kar ...

Tujhay apnay hathon ki lakeeron main na basaya to
Phir Kehna!
Aa kay tujhe teray khwabon main na sataya to
Phir Kehna!
Teri sochon main guzar jati hai sati raat
zindagi bhar tujhay raation ko na jagaya to
Phir Kehna!
Dhondtay phiro gey har jaga tum humko
Apnay ishq main tujhay pagal na banaya to
Phir Kehna!

Kyun chup k mohabbat karte ho ,
Sung chalne ka dam bharte ho ,
Jo shikway gilay hain keh dalo ,
Kyun bat khulne se darte ho ,
Usay bhol jao jo guzar gya ,
Kyun khud se itna larte ho ,
Mujhe bhi khud main shamil kar lo,
Kyun tanha aag main jalte ho,
Befikar ho jao ye jaan lo
Tum meray dil main basate ho ..!!

Socha tha is bar unko bhol jayen gy.
Dekh kar bhi undekha kar jayen gy.
Par jab jab samne aya chehra unka.
Socha bs ab dekh lein phir bhol jayen gy.

kabhi jo ehsaas ho tumko ,
kay tum acha nahi kartay ,
jo mujh ko yun rulatay ho ,
lahu mera jalatay ho ,
agar is aag main jal kar ,
main ik din raakh ho jaon,
mujhay dil say bhula dena ,
samandar main baha dena ,
magar ye yaad rakhna tum ,
Khuda say yeh dua karna ,
kay jo acha lagay tumko
wo tum jaisa kabhi na ho ...!

Ab agar aao to janay kay liye mat aana ,
sif ehsaan jatanay kay liye mat aana,
main nay palkon paya tamanaein saja rakhi hain ,
dil main umeed ki so shamein jala rakhi hain ,
yeh haseen shamey bhujanay kay liye mat aana ,
ab agar aao to janay kay liye mat aana ,
pyar ki aag main zanjeerain pighal sakti hain,
chahnay walon ki takdeerain badal sakti hain ,
tum ho be-bas yeh batanay kay liye mat aana,
abb agar aao to janay kay liye mat aana .