Showing posts with label Two Lines Shayeri. Show all posts
Showing posts with label Two Lines Shayeri. Show all posts

Uss Ko Chaha
To
Mohabbat ki
Samajh Aai...
Warna
Iss Lafz Ki
Sirf
Tareef Suna
Kartay Thay ..!

Hum na badlain gey waqt ki ratar k sath
Hum jab bhi milain gey andaz purana he hoga

Zabt-e-Ghum is qadar asan nahi 'FARAZ'
Aag hotay hain wo aanso jo piye jate hain.

Faraz Shayeri
Chahon to ek nigah main khareed lon usko "Faraz"
jis ko naaz hai bohat kay bikta nahi hon main ...
===x===x===x===
kabhi socha he nahin apni zaat k mutallik "FARAZ"....
socha hota to aj hum yoon tanha na hotey...!
===x===x===x===
Jab Wo Mujh Sey Chuph Kar Roi Tou Yeh Baat Khulli "Faraz"
Kehney Ko Hum Aik Hain Laikin Dukh Apna Apna Hai........!
===x===x===x===
Parde to Hosh Walon se Kiye jate hain "FARAZ"
Be-Naqaab Chale aao...Hum Nashe Main hain..!
===x===x===x===
Apni naakami ka ik yeh bhi sabeb hy "Faraz"
Cheez jo maanghty hain sub sy juda maanghty hain
===x===x===x===
Kuch is liye bhi tum say mohabbat hay mujh ko "Faraz"...
mera to koi nahi hay, tumhara to koi ho..
===x===x===x===
Mujh say kehti hay teray sath rahungi sada "Faraz"
bohat pyar karti hay muhj say udasi meri....
===x===x===x===
Uss k hath mein tootay hue sheeshay ki tarah hon "Faraz"
Itna hi bohat hay k woh bikharne nahi deta
===x===x===x===
KiTne gharuR mEin hain w0h mUjhe Tanha ch0r k "Faraz"
Unhain maluM nahi mere aansU mujhe Tanha h0ne Nahi detay..
===x===x===x===
Barishain Hoti Hi Jati Hain Mere Shehar Main "Faraz"
Kabhi Dhoop Niklay Tou Apne Aansu Hi Sukha Loon.. !!

Two Lines Shayeri Text Messages ( 2)
  • Tu usay apni tamanaon ka markaz na bana ,
chand herjai hay har ghar me uter jata hy
  • Mere aankhon kay jadu say tum nawaqif ho faraz
Main usay pagal kar dayti hon jis p mujhay pyar aa jaye...
  • Chahat ki uss manzil pe ja pohancha hun......
Koi dekhe teri janib mujhe acha nahe lagta.....
  • ROOZ aata hay MERE DIL ko Tassalli dene
KHAYAAL-E-YAAR ko MERA Khayal kitna hay…!!!
  • mehsoos ker raha hon main jeene ki talkhyaan.
shayad mujhe kisi se mhubat nahi rahi....!
  • zikar bewafaon ka raat tha sare mahfil.
jhuk gaya humra sir jub tumhra naam aya
  • Yeh Zarori Nahi K Aag se Jal Jaye Bashar,
Baaz Logoun ko muqadar bhi jala dete hain
  • Kal Raat Teri yaaDon KaTasaLsuL Thaitna....
K NeenD Aayi tOAankhon ne BuraMaan Lia...
  • ye keh ker doob gaya aaj ka aakhri suraj,
k hoo sake to isi shab ko abb sehar kehna
  • Kaash K Un k0Aye KhyaalHamari Is BezaarHalat Ka...
W0 L0g J0 ApnaBana K BekhaberSy Rahte Hain...!
  • Woh shaks ju kehta tha tere bina zindgi adhuri hay.......
Bichra tu kehne laga tujhe Chorna meri majboori hay.....

2 Lines Shayeri Text Messages
  • Zamany Bhar Nay Loota Hy Faraib-e-Dosti Day Kar,Agar Tum Sath Do maira To Sab Say Dushmni Kar Loon...!
  • Ab tu Kaliyun Ke Tabassum SAy Bhi DAr JAta Hon, MusKura KAr Ju bhi mila Woh ZAkham gehra de gaya...!!!
  • Mujh ko maLoom Tu nhi, Hussn ki Tareef magar! ,Meri Nazron mE Tu Haseen wo hy, Jo TuM Jaisa Ho ...
  • Ishq Ki Raaho Main Do hi Manzilien Hai Faraz !! ,Ya Dil Main Utar Jana, Ya Dil Se Utar Jana !
  • Kitne nazuk mizaj hain wo kuch na pochiye...!!,Neind nhi aati unhain dharkan k shor se..!!
  • Kitabon se dalail doon ya khud ko samne rakh doon,Wo mujh se pooch betha hai mohabat kis ko kehte hain...
  • Wo is anaa mein rehtay hain k hum un ko un se mangein Faraz.....Hum is gharoor mein rehtay hain k hum apni hi cheezein manga nahi kartay........!
  • Zamane k sawalon ko Main hans kar taal dun lekin!,Nami ankhon ki kehti hai Mujhe Tum Yaad aate ho....
  • "Hum sy poochni hai tou Sitaaron ki baat poocho "Faraz","Khawabon ki baat tou woh karty hein jinhein Neend Aati ho"
  • Main kaisy sard hathon sy tumhary gaal chhoota tha..... December me tumhain meri shararat yaad aae gi !!!....
  • Tamanna Hy Mere Dil Ki k Main Hon Aur Bas Tum Ho... Ye Wo Hasrat Hy Jis Hasrat Pe Khud Hasrat Ko Hasrat Hy...
  • Mere Mayaar Ko Samajhne K LiyeBas Itna Hi Kafi hai...Main Us Ka Hargiz Nahin hotaJo Har Kisi Ka Ho Jaye!