Thukra ka mohabbat meri kahan janay ka irada hai
Mujhay zindagi kay kis mor per lanay ka irada hai
Ye jo ab khafa khafa say rehnay lagay ho
Ye pyar ka urooj hai ya chor k janay ka irada hai
Jatay jatay ye to bata jao aay dost
Meray pyar main kami thi ya kisi or say dosti ka irada hai
Meray baad meri yaad aaye to mur k na dekhna ay dost
Kyun k teray baad mera bhi is dunya
ko chor kay jana ka irada hai.

Zabt-e-Ghum is qadar asan nahi 'FARAZ'
Aag hotay hain wo aanso jo piye jate hain.

Jab ghar say jate waqt parho to 70,000 Farishtay
har taraf say aapki hifazat karain gey.
Jab ghar main dakhil hotay waqt parho to aap
kay ghar say mohtaji (ghurbat) dor ho jayegi.
Jab wazoo k baad parho to aap kay 70 darjay buland
Hon gey.
Agar raat ko sotay waqt parho to 1 farishta sari raat
aap ki hifazat karay ga.
Agar farz namaz k baad parho to marnay k baad aap
ka ek paon zameen per or dosra jannat main hoga.
Fwd as Sadqa-e-jariya..

Ek chehra jo meray khawab saja deta hai
Mujh ko meray he khayalon main sada deta hai
Wo mera kon hai maloom nahi hai lekin
Jab bhi milta hai to pehlu main jaga deta hai
Main jon ander say kabhi toot k bikhron
To wohi mujh ko chahnay kay liye haat barha deta hai
Main jo tanha kabhi chupkay say bhi rona chahon
To dil kay darwazay ki zanjeer hila deta hai
Us ki qurbat main hai kya baat najaney yaro
Ek lamhay kay liye sadiyon ko bhula deta hai ...