Teacher: Batain
KHUSH FEHMI
Kia Hoti Hay ?
Student: Sir Peeche Dekhain
Miss Ap ko Bula Rhi Hain
Sir Ne Dekha Tou Koi Nhi Tha
Studnt: Sir ye cheezKHUSH FEHMI hay.

kabhi jo ehsaas ho tumko ,
kay tum acha nahi kartay ,
jo mujh ko yun rulatay ho ,
lahu mera jalatay ho ,
agar is aag main jal kar ,
main ik din raakh ho jaon,
mujhay dil say bhula dena ,
samandar main baha dena ,
magar ye yaad rakhna tum ,
Khuda say yeh dua karna ,
kay jo acha lagay tumko
wo tum jaisa kabhi na ho ...!

Ab agar aao to janay kay liye mat aana ,
sif ehsaan jatanay kay liye mat aana,
main nay palkon paya tamanaein saja rakhi hain ,
dil main umeed ki so shamein jala rakhi hain ,
yeh haseen shamey bhujanay kay liye mat aana ,
ab agar aao to janay kay liye mat aana ,
pyar ki aag main zanjeerain pighal sakti hain,
chahnay walon ki takdeerain badal sakti hain ,
tum ho be-bas yeh batanay kay liye mat aana,
abb agar aao to janay kay liye mat aana .

Hansata tha mujh ko to phir rula bhi deta tha ,
kar kay wo mujh say aksar waday bhula bhi deta tha ,
bewafa tha bohat magar acha lagta tha dil ko ,
kabhi kabar baatain mohabbat ki suna bhi deta tha ,
than leta tha haath mera kabhi yunhi khud ,
kabhi hath apna meray hath say chura bhi leta tha ,
kabhi be-waqt chala aata tha milnay ko ,
kabhi qeemti pal mohabbat k ganwa deta tha ,
ajab dhoop chaon ga mizaj tha uska "Faraz"
mohabbat bhi karta tha nazron say gira bhi deta tha .